chahi na thin jo maine duaen mujhe na do
chāhī na thiiñ jo maiñ ne duā.eñ mujhe na do
kuchh kam nahīñ haiñ aur balā.eñ mujhe na do
khologe khiḌkiyāñ to baḌhegī ghuTan mirī
rahne do in ko yūñhī havā.eñ mujhe na do
aa.e ho tum qarīb isī rog ke sabab
bīmār hī bhalā huuñ davā.eñ mujhe na do
jī chāhtā hai khoyā rahūñ apne aap meñ
itnā karam karo ki sadā.eñ mujhe na do
qābil nahīñ hai merā badan jo ye Dho sake
apnī mohabbatoñ kī qabā.eñ mujhe na do
yā mere ḳhvāb de do yā lau.Tāo merī niiñd
ye iltijā hai aur sazā.eñ mujhe na do
ehsās hotā hai ki abhī jaan baaqī hai
achchhī hai be-ḳhudī ye davā.eñ mujhe na do
raas aaya lams ThanDī havāoñ kā is qadar
manzūr hai ye karb ridā.eñ mujhe na do
chahi na thin jo main ne duaen mujhe na do
kuchh kam nahin hain aur balaen mujhe na do
khologe khiDkiyan to baDhegi ghuTan meri
rahne do in ko yunhi hawaen mujhe na do
aae ho tum qarib isi rog ke sabab
bimar hi bhala hun dawaen mujhe na do
ji chahta hai khoya rahun apne aap mein
itna karam karo ki sadaen mujhe na do
qabil nahin hai mera badan jo ye Dho sake
apni mohabbaton ki qabaen mujhe na do
ya mere KHwab de do ya lauTao meri nind
ye iltija hai aur sazaen mujhe na do
ehsas hota hai ki abhi jaan baqi hai
achchhi hai be-KHudi ye dawaen mujhe na do
ras aaya lams ThanDi hawaon ka is qadar
manzur hai ye karb ridaen mujhe na do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.