chahne ki na intiha rakhiye
chāhne kī na intihā rakhiye
jaan se bhī use sivā rakhiye
ishq karne kā gar irāda ho
ghar luTāne kā hausla rakhiye
phuul mahkeñge us kī yādoñ ke
taaza yādoñ kā silsila rakhiye
koī bhī rut ho koī mausam ho
zaḳhm dil kā harā-bharā rakhiye
ye parī-zādgāñ haiñ sho.ala-nazhād
in se miliye to fāsla rakhiye
ḳhema-e-jāñ ye ḳhauf-e-shab-ḳhūñ hai
kam se kam ḳhud ko jāgtā rakhiye
bhuul jaa.eñ har ek qisse ko
yaad lekin vo hādsa rakhiye
har jagah se zamīñ saraktī hai
paañv rakhiye to kis jagah rakhiye
har muhim meñ ba-shart-e-paspā.ī
vāpsī kā bhī rāsta rakhiye
shā.iroñ aur gadāgaroñ meñ aap
farq thoḌā sā to ravā rakhiye
jo bhī karnā hai aaj kar liije
kaam fardā pe kyā uThā rakhiye
koī aa.e na aa.e dil meñ 'azīm'
dil kā darvāza par khulā rakhiye
chahne ki na intiha rakhiye
jaan se bhi use siwa rakhiye
ishq karne ka gar irada ho
ghar luTane ka hausla rakhiye
phul mahkenge us ki yaadon ke
taza yaadon ka silsila rakhiye
koi bhi rut ho koi mausam ho
zaKHm dil ka hara-bhara rakhiye
ye pari-zadgan hain shoala-nazhad
in se miliye to fasla rakhiye
KHema-e-jaan ye KHauf-e-shab-KHun hai
kam se kam KHud ko jagta rakhiye
bhul jaen har ek qisse ko
yaad lekin wo hadsa rakhiye
har jagah se zamin sarakti hai
panw rakhiye to kis jagah rakhiye
har muhim mein ba-shart-e-paspai
wapsi ka bhi rasta rakhiye
shairon aur gadagaron mein aap
farq thoDa sa to rawa rakhiye
jo bhi karna hai aaj kar lije
kaam farda pe kya uTha rakhiye
koi aae na aae dil mein 'azim'
dil ka darwaza par khula rakhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.