chahta hai koi wada na wafa chahta hai
chāhtā hai koī va.ada na vafā chāhtā hai
koī jā kar use pūchhe ki vo kyā chāhtā hai
yuuñ to sab kār-e-ziyāñ hai magar ai kār-e-junūñ
dil ne ik umr jo chāhā vo huā chāhtā hai
ye tirā husn ye ḳhushbū ye havā-e-qurbat
maiñ nahīñ chāhtā ye vasl ḳhudā chāhtā hai
niiñd aisī hai ki mismār huī chāhtī hai
ḳhvāb aisā hai ki ta.abīr huā chāhtā hai
kaun hai jo mujhe girya nahīñ karne detā
kaun hai jo mirī āñkhoñ kā burā chāhtā hai
chahta hai koi wada na wafa chahta hai
koi ja kar use puchhe ki wo kya chahta hai
yun to sab kar-e-ziyan hai magar ai kar-e-junun
dil ne ek umr jo chaha wo hua chahta hai
ye tera husn ye KHushbu ye hawa-e-qurbat
main nahin chahta ye wasl KHuda chahta hai
nind aisi hai ki mismar hui chahti hai
KHwab aisa hai ki tabir hua chahta hai
kaun hai jo mujhe girya nahin karne deta
kaun hai jo meri aankhon ka bura chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.