chahta hun ki mera dard-e-jigar aur baDhe
chāhtā huuñ ki mirā dard-e-jigar aur baḌhe
tīrgī-e-shab-e-ġham tā-ba-sahar aur baḌhe
duur hai mujh se abhī dāman-e-sad-rañg un kā
kārvāñ ashkoñ kā ai dīda-e-tar aur baḌhe
yuuñ to tanhā hī chalā jā.ūñgā maiñ manzil tak
tum agar saath chalo azm-e-safar aur baḌhe
kitnī rañgīn hai jis raah pe uTThā hai qadam
chāhtā huuñ ki tirī rāhguzar aur baḌhe
abhī bhaḌkī hai ki aatī hai mahak sho.aloñ kī
ishq kī aag agar aur agar aur baḌhe
abhī is siine meñ zaḳhmoñ kī jagah baaqī hai
aap kī shoḳh-adā shoḳh-nazar aur baḌhe
chahta hun ki mera dard-e-jigar aur baDhe
tirgi-e-shab-e-gham ta-ba-sahar aur baDhe
dur hai mujh se abhi daman-e-sad-rang un ka
karwan ashkon ka ai dida-e-tar aur baDhe
yun to tanha hi chala jaunga main manzil tak
tum agar sath chalo azm-e-safar aur baDhe
kitni rangin hai jis rah pe uTTha hai qadam
chahta hun ki teri rahguzar aur baDhe
abhi bhaDki hai ki aati hai mahak shoalon ki
ishq ki aag agar aur agar aur baDhe
abhi is sine mein zaKHmon ki jagah baqi hai
aap ki shoKH-ada shoKH-nazar aur baDhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.