chahta jo bhi hai wo kah ke guzar jata hai
chāhtā jo bhī hai vo kah ke guzar jaatā hai
dil-e-hassās is ehsās se mar jaatā hai
zehn meñ baat buzurgoñ kī tabhī baiThtī hai
jab javānī kā nasha sar se utar jaatā hai
jab anā merī zarūrat kā galā ghoñTtī hai
rang ḳhud-dārī ke chehre kā nikhar jaatā hai
Dasne lagtī hai mirī ḳhāna-badoshī mujh ko
jab koī panchhī kabhī shaam ko ghar jaatā hai
jhūTī tārīf se hotī hai masarrat us ko
aa.ina koī dikhā de to biphar jaatā hai
jurm kartā hai koī aur yahāñ par 'ālam'
aur ilzām kisī aur ke sar jaatā hai
chahta jo bhi hai wo kah ke guzar jata hai
dil-e-hassas is ehsas se mar jata hai
zehn mein baat buzurgon ki tabhi baiThti hai
jab jawani ka nasha sar se utar jata hai
jab ana meri zarurat ka gala ghonTti hai
rang KHud-dari ke chehre ka nikhar jata hai
Dasne lagti hai meri KHana-badoshi mujh ko
jab koi panchhi kabhi sham ko ghar jata hai
jhuTi tarif se hoti hai masarrat us ko
aaina koi dikha de to biphar jata hai
jurm karta hai koi aur yahan par 'alam'
aur ilzam kisi aur ke sar jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.