chahta to nahin tha par aai
chāhtā to nahīñ thā par aa.ī
aap kī yaad 'umr-bhar aa.ī
us ne jhāñkā thā shab darīche se
chāñdnī jhiil par utar aa.ī
aabjū aaya us ke hisse meñ
aur tishna-labī idhar aa.ī
maiñ ki dariyā kināre baiThā thā
laash paanī par ik ubhar aa.ī
us ke kāñdhe pe sar rakhā hī thā
niiñd aa.ī bhī to kidhar aa.ī
chāñd bhī oT se nahīñ niklā
aur vo bhī na baam par aa.ī
ġham kī shab june ko paḌhā maiñ ne
ḳhuuñ ugaltī huī sahar aa.ī
dekhtā rah gayā faqat pankhā
jab na sūrat koī nazar aa.ī
maiñ jo huuñ mujh ko ho gayā mā'lūm
uḌtī uḌtī huī ḳhabar aa.ī
chahta to nahin tha par aai
aap ki yaad 'umr-bhar aai
us ne jhanka tha shab dariche se
chandni jhil par utar aai
aabju aaya us ke hisse mein
aur tishna-labi idhar aai
main ki dariya kinare baiTha tha
lash pani par ek ubhar aai
us ke kandhe pe sar rakha hi tha
nind aai bhi to kidhar aai
chand bhi oT se nahin nikla
aur wo bhi na baam par aai
gham ki shab june ko paDha main ne
KHun ugalti hui sahar aai
dekhta rah gaya faqat pankha
jab na surat koi nazar aai
main jo hun mujh ko ho gaya ma'lum
uDti uDti hui KHabar aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.