chahti hai aaKHir kya aagahi KHuda-malum
Interesting Fact
1953
chāhtī hai āḳhir kyā āgahī ḳhudā-mā'lūm
kitne rang badlegī zindagī ḳhudā-mā'lūm
kal to ḳhair ai rahbar tere saath rahrav the
aaj kis pe hañstī hai gumrahī ḳhudā-mā'lūm
ab bhī sub.h hotī hai ab bhī din nikaltā hai
jā chhipī kahāñ lekin raushnī ḳhudā-mā'lūm
rāstī gurezāñ hai āshtī hirāsāñ hai
kis se kis se uljhegā aadmī ḳhudā-mā'lūm
ab to vaqt aayā hai Duub kar ubharne kā
kitnī kashtiyāñ Dūbīñ aur abhī ḳhudā-mā'lūm
zauq-e-naġhma-e-pairā.ī tū hī baḌh ke de āvāz
kab se ġharq-e-hairat hai ḳhāmushī ḳhudā-mā'lūm
sirf bhiik māñgī thī ham ne ādmiyyat kī
kyuuñ biphar ga.e 'yāqūb' mudda'ī ḳhudā-mā'lūm
chahti hai aaKHir kya aagahi KHuda-ma'lum
kitne rang badlegi zindagi KHuda-ma'lum
kal to KHair ai rahbar tere sath rahraw the
aaj kis pe hansti hai gumrahi KHuda-ma'lum
ab bhi subh hoti hai ab bhi din nikalta hai
ja chhipi kahan lekin raushni KHuda-ma'lum
rasti gurezan hai aashti hirasan hai
kis se kis se uljhega aadmi KHuda-ma'lum
ab to waqt aaya hai Dub kar ubharne ka
kitni kashtiyan Dubin aur abhi KHuda-ma'lum
zauq-e-naghma-e-pairai tu hi baDh ke de aawaz
kab se gharq-e-hairat hai KHamushi KHuda-ma'lum
sirf bhik mangi thi hum ne aadmiyyat ki
kyun biphar gae 'yaqub' mudda'i KHuda-ma'lum
- Sang-e-meel
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.