chaak-dar-chaak hai phulon ki qaba sunte hain
chāk-dar-chāk hai phūloñ kī qabā sunte haiñ
panja-kash aaj hai gulshan kī havā sunte haiñ
tum ne chheḌā to nahīñ sāz-e-tabassum apnā
tez hai dil ke dhaḌakne kī sadā sunte haiñ
jaane kab rāhguzar shauq kī hogī gul-posh
aaj guzre haiñ ka.ī ābla-pā sunte haiñ
aap ke va.ada-e-fardā kā yaqīñ hai lekin
ruuh farsā hai bahut dasht-e-vafā sunte haiñ
sham.a dil hī ki jalāo kī shab-e-tār kaTe
sar-ba-zānū hai charāġhoñ kī ziyā sunte haiñ
kyā ilāj-e-dil-e-bīmār kī sūrat na rahī
aaj hai chāragarī vaqf-e-duā sunte haiñ
naġhma-e-murġh-e-chaman ho ki ḳharosh-e-tūfāñ
ham to har saaz pe apnī hī sadā sunte haiñ
chaak-dar-chaak hai phulon ki qaba sunte hain
panja-kash aaj hai gulshan ki hawa sunte hain
tum ne chheDa to nahin saz-e-tabassum apna
tez hai dil ke dhaDakne ki sada sunte hain
jaane kab rahguzar shauq ki hogi gul-posh
aaj guzre hain kai aabla-pa sunte hain
aap ke wada-e-farda ka yaqin hai lekin
ruh farsa hai bahut dasht-e-wafa sunte hain
shama dil hi ki jalao ki shab-e-tar kaTe
sar-ba-zanu hai charaghon ki ziya sunte hain
kya ilaj-e-dil-e-bimar ki surat na rahi
aaj hai chaaragari waqf-e-dua sunte hain
naghma-e-murgh-e-chaman ho ki KHarosh-e-tufan
hum to har saz pe apni hi sada sunte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.