chaak-dil ho koi ya KHak-basar kya hoga
Interesting Fact
(Tarhi Mushaira, Mughalpura)
chāk-dil ho koī yā ḳhāk-basar kyā hogā
jis ko ehsās nahīñ us ko asar kyā hogā
hāsil-e-dard ba-juz dīda-e-tar kyā hogā
nahīñ mālūm yahāñ apnā guzar kyā hogā
pahle āġhāz-e-shab-e-ġham to samajh meñ aa.e
baad kī baat hai hangām-e-sahar kyā hogā
dekh kar rañg-e-jahān-e-guzarāñ hairāñ huuñ
jab ye aalam hai idhar kā to udhar kyā hogā
zindagī zauq-e-safar tark nahīñ kar saktī
soch kar kyā karūñ anjām-e-safar kyā hogā
aap to ḳhair se barsāt kā sūraj Thahre
ham ġharīboñ kī umīdoñ kā magar kyā hogā
is se to ruuh sañvartī hai nazar bantī hai
koī jalva bhī tirā sarf-e-nazar kyā hogā
duur tak vaqt kī rāhoñ meñ añdherā hai abhī
dil na sulge to charāġhoñ kā asar kyā hogā
zindagī aur sukūñ ek khulā dhokā hai
saañs jab tak hai kashākash se mafar kyā hogā
ḳhuun dil kā na ho ta.amīr meñ jab tak shāmil
mo'atabar koī bhī andāz-e-nazar kyā hogā
vaqt ke saath chale jaate haiñ jaane vaale
sochte rahte haiñ sab zindagī bhar kyā hogā
'shauq' āzār-talab fitrat-e-dil hai apnī
laakh ham chāheñge ārām magar kyā hogā
chaak-dil ho koi ya KHak-basar kya hoga
jis ko ehsas nahin us ko asar kya hoga
hasil-e-dard ba-juz dida-e-tar kya hoga
nahin malum yahan apna guzar kya hoga
pahle aaghaz-e-shab-e-gham to samajh mein aae
baad ki baat hai hangam-e-sahar kya hoga
dekh kar rang-e-jahan-e-guzaran hairan hun
jab ye aalam hai idhar ka to udhar kya hoga
zindagi zauq-e-safar tark nahin kar sakti
soch kar kya karun anjam-e-safar kya hoga
aap to KHair se barsat ka suraj Thahre
hum gharibon ki umidon ka magar kya hoga
is se to ruh sanwarti hai nazar banti hai
koi jalwa bhi tera sarf-e-nazar kya hoga
dur tak waqt ki rahon mein andhera hai abhi
dil na sulge to charaghon ka asar kya hoga
zindagi aur sukun ek khula dhoka hai
sans jab tak hai kashakash se mafar kya hoga
KHun dil ka na ho tamir mein jab tak shamil
mo'atabar koi bhi andaz-e-nazar kya hoga
waqt ke sath chale jate hain jaane wale
sochte rahte hain sab zindagi bhar kya hoga
'shauq' aazar-talab fitrat-e-dil hai apni
lakh hum chahenge aaram magar kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.