chaak dil mein hai salamat hai gareban mera
Interesting Fact
(Tarahi Mushaira in the series of Ghalib's Centenary Events)
chaak dil meñ hai salāmat hai garebāñ merā
kaun samjhegā ilāhī ġham-e-pinhāñ merā
pahle ye thā ki ġham un kā dil-e-vīrāñ merā
ab maiñ apnā huuñ na dil hai kisī unvāñ merā
tañg dāman huuñ magar dāman-e-dil tañg nahīñ
hai mirī hausla-mandī sar-o-sāmāñ merā
aaj zarrāt-e-chaman bhī nahīñ vāqif mujh se
thā kabhī naam gulistāñ-ba-gulistāñ merā
har nafas naġhma-e-be-tābī-e-ġham jaarī hai
chheḌe jaatā hai koī sāz-e-rag-e-jāñ merā
ruḳhsat ai sohbat-e-mai-ḳhāna phir aa jā.ūñgā
rāsta dekhtī hai gardish-e-daurāñ merā
qaid huuñ apne ḳhayālāt kī zanjīroñ meñ
ban gayā hai mirā ehsās hī zindāñ merā
apnī be-nām adāoñ ko bachā.e rakhiye
ye na ban jaa.eñ kahīñ hāl-e-pareshāñ merā
dil kī dushvār-pasandī ko duā detā huuñ
kaam mushkil se huā kartā hai āsāñ merā
mere afkār kī ḳhushbū hai ka.ī phūloñ meñ
har gulistāñ nazar aatā hai gulistāñ merā
pās-e-ādāb-e-mohabbat mujhe 'shauq' itnā hai
chaak hone nahīñ paatā hai garebāñ merā
chaak dil mein hai salamat hai gareban mera
kaun samjhega ilahi gham-e-pinhan mera
pahle ye tha ki gham un ka dil-e-viran mera
ab main apna hun na dil hai kisi unwan mera
tang daman hun magar daman-e-dil tang nahin
hai meri hausla-mandi sar-o-saman mera
aaj zarraat-e-chaman bhi nahin waqif mujh se
tha kabhi nam gulistan-ba-gulistan mera
har nafas naghma-e-be-tabi-e-gham jari hai
chheDe jata hai koi saz-e-rag-e-jaan mera
ruKHsat ai sohbat-e-mai-KHana phir aa jaunga
rasta dekhti hai gardish-e-dauran mera
qaid hun apne KHayalat ki zanjiron mein
ban gaya hai mera ehsas hi zindan mera
apni be-nam adaon ko bachae rakhiye
ye na ban jaen kahin haal-e-pareshan mera
dil ki dushwar-pasandi ko dua deta hun
kaam mushkil se hua karta hai aasan mera
mere afkar ki KHushbu hai kai phulon mein
har gulistan nazar aata hai gulistan mera
pas-e-adab-e-mohabbat mujhe 'shauq' itna hai
chaak hone nahin pata hai gareban mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.