chaak har ahd mein zulmat ki rida humse hui
chaak har 'ahd meñ zulmat kī ridā ham se huī
amn kī sub.h jahāñ meñ ba-ḳhudā ham se huī
haq ko haq kahnā agar jurm hamārā Thahrā
ham ko taslīm ki haañ ye bhī ḳhatā ham se huī
jurm itnā hai ki toḌe haiñ butoñ ke paikar
nafrat-āgīñ jo zamāne kī havā ham se huī
sar jhukāyā hī nahīñ ham ne dar-e-haq ke sivā
is liye quvvat-e-bātil bhī ḳhafā ham se huī
ham ne har dil meñ jalā.e haiñ sadāqat ke diye
kufr-o-zulmat meñ bhī ye rasm adā ham se huī
ham ne hañste hue phūloñ pe sitam Dhaa.e haiñ
aur is zulm kī ġhammāz sabā ham se huī
ye ulul-'azmī-o-haq-goī sadā bebākī
zer-e-shamshīr bhī ye rasm adā ham se huī
ḳhaak aur ḳhuun meñ lipTī huī ḳhāmosh zabāñ
shahr-e-bedād meñ bhī dād-rasā ham se huī
jab bhī ḳhūñ-bār bahāreñ yahāñ aa.iiñ 'bismil'
fasl-e-gul raqs-kunāñ jalva-numā ham se huī
chaak har 'ahd mein zulmat ki rida hum se hui
amn ki subh jahan mein ba-KHuda hum se hui
haq ko haq kahna agar jurm hamara Thahra
hum ko taslim ki han ye bhi KHata hum se hui
jurm itna hai ki toDe hain buton ke paikar
nafrat-agin jo zamane ki hawa hum se hui
sar jhukaya hi nahin hum ne dar-e-haq ke siwa
is liye quwwat-e-baatil bhi KHafa hum se hui
hum ne har dil mein jalae hain sadaqat ke diye
kufr-o-zulmat mein bhi ye rasm ada hum se hui
hum ne hanste hue phulon pe sitam Dhae hain
aur is zulm ki ghammaz saba hum se hui
ye ulul-'azmi-o-haq-goi sada bebaki
zer-e-shamshir bhi ye rasm ada hum se hui
KHak aur KHun mein lipTi hui KHamosh zaban
shahr-e-bedad mein bhi dad-rasa hum se hui
jab bhi KHun-bar bahaaren yahan aain 'bismil'
fasl-e-gul raqs-kunan jalwa-numa hum se hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.