chaak ho jata hai daman matla-e-tanwir ka
chaak ho jaatā hai dāman matl.a-e-tanvīr kā
ye asar hotā hai mere nāla-e-shab-gīr kā
merā chehra muskurātā dekh kar haiñ mutma.in
dekhne vāloñ ne dekhā ek ruḳh tasvīr kā
kuchh na bolo un ke aage gar suno merā kahā
ḳhāmushī meñ bhī asar aa jā.egā taqrīr kā
tū ise pairoñ se rauñdegā mujhe kyā ilm thā
itnā ūñchā martaba hogā mirī tahrīr kā
chaak ho jata hai daman matla-e-tanwir ka
ye asar hota hai mere nala-e-shab-gir ka
mera chehra muskuraata dekh kar hain mutmain
dekhne walon ne dekha ek ruKH taswir ka
kuchh na bolo un ke aage gar suno mera kaha
KHamushi mein bhi asar aa jaega taqrir ka
tu ise pairon se raundega mujhe kya ilm tha
itna uncha martaba hoga meri tahrir ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.