chand aangan mein jab utarta hai
chāñd āñgan meñ jab utartā hai
zard pattoñ meñ rang bhartā hai
kaun ruktā hai umr bhar ke liye
aks paanī meñ kab Thahartā hai
koī kaise kahīñ pe ruk jaa.e
vaqt har haal meñ guzartā hai
husn-e-be-ḳhud ko dekhne ke liye
aa.ina der tak sañvartā hai
husn-e-be-kal kī rū-numā.ī tak
koī jiitā hai koī martā hai
apne jaisoñ meñ mo'atabar ho kar
aadmī aadmī se Dartā hai
chand aangan mein jab utarta hai
zard patton mein rang bharta hai
kaun rukta hai umr bhar ke liye
aks pani mein kab Thaharta hai
koi kaise kahin pe ruk jae
waqt har haal mein guzarta hai
husn-e-be-KHud ko dekhne ke liye
aaina der tak sanwarta hai
husn-e-be-kal ki ru-numai tak
koi jita hai koi marta hai
apne jaison mein mo'atabar ho kar
aadmi aadmi se Darta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.