chand apna safar KHatm karta raha shama jalti rahi raat Dhalti rahi
chand apna safar KHatm karta raha shama jalti rahi raat Dhalti rahi
Asif Banarsi
MORE BYAsif Banarsi
chāñd apnā safar ḳhatm kartā rahā sham.a jaltī rahī raat Dhaltī rahī
ham tirī raah chup-chāp dekhā kiye ye kahānī isī tarah chaltī rahī
be-qarārī shab-e-hijr kī kyā kahūñ yaad terī kalejā masaltī rahī
chain dil se nigāheñ churātā rahā niiñd āñkhoñ meñ karvaT badaltī rahī
tāqat-e-zabt kī koshisheñ ik taraf sard aahoñ kā zor aur shor ik taraf
aañsū āñkhoñ se ruk ruk ke bahte rahe barf jamtī rahī aur pighaltī rahī
ham tirī yaad meñ is tarah mahv the kuchh ḳhabar hī na māhaul kī ho sakī
ġham kī nāgin kaleje pe baiThī huī muñh se sho.ale pe sho.ale ugaltī rahī
uf re pās-e-mohabbat kī majbūriyāñ umr ummīd hī meñ basar ho ga.ī
sub.h hotī rahī shaam hotī rahī baat va.adoñ hī va.adoñ pe Taltī rahī
bāvajūde-ki maḳhfī kisī se na thā kār-gāh-e-jahāñ jaa.e māñdan nahīñ
hukm-e-fitrat kī ta.amīl hotī rahī sāñcha bantā rahā shakl Dhaltī rahī
hajv-e-mai mimbar-e-ḳhisht-e-mai-ḳhāna par us pe turra ye saaqī ke hote hue
muft kā shaġhl rindoñ ke haath aa gayā ḳhuub vaa.iz kī pagḌī uchhaltī rahī
barq-e-hirmāñ girī aur girtī rahī baal biikā na ummīd kā kar sakī
valvaloñ ke paraḳhche uḌe jī bujhā par tamanna kī qindīl jaltī rahī
uf vo mub.ham se tevar uchaTtī nazar ham dorāhe pe vahm-o-yaqīñ ke rahe
sham-e-umīd turfa-tamāsha banī ḳhud hī bujhtī rahī ḳhud hī jaltī rahī
vo mohabbat kī sahbā-e-do-ātisha mere ham-mashrabo mai-kade meñ kahāñ
un nigāhoñ kā kaif-e-shabāna liye ḳhalvat-e-be-ḳhalal meñ jo Dhaltī rahī
ġhuncha-o-gul kā jab tak zamāna rahā 'āsif' apnī tabī.at rahī josh par
kaif-e-ishrat fazā se Tapaktā rahā aish kī mai zamīñ se ubaltī rahī
chand apna safar KHatm karta raha shama jalti rahi raat Dhalti rahi
hum teri rah chup-chap dekha kiye ye kahani isi tarah chalti rahi
be-qarari shab-e-hijr ki kya kahun yaad teri kaleja masalti rahi
chain dil se nigahen churaata raha nind aankhon mein karwaT badalti rahi
taqat-e-zabt ki koshishen ek taraf sard aahon ka zor aur shor ek taraf
aansu aankhon se ruk ruk ke bahte rahe barf jamti rahi aur pighalti rahi
hum teri yaad mein is tarah mahw the kuchh KHabar hi na mahaul ki ho saki
gham ki nagin kaleje pe baiThi hui munh se shoale pe shoale ugalti rahi
uf re pas-e-mohabbat ki majburiyan umr ummid hi mein basar ho gai
subh hoti rahi sham hoti rahi baat wadon hi wadon pe Talti rahi
bawajude-ki maKHfi kisi se na tha kar-gah-e-jahan jae mandan nahin
hukm-e-fitrat ki tamil hoti rahi sancha banta raha shakl Dhalti rahi
hajw-e-mai mimbar-e-KHisht-e-mai-KHana par us pe turra ye saqi ke hote hue
muft ka shaghl rindon ke hath aa gaya KHub waiz ki pagDi uchhalti rahi
barq-e-hirman giri aur girti rahi baal bika na ummid ka kar saki
walwalon ke paraKHche uDe ji bujha par tamanna ki qindil jalti rahi
uf wo mubham se tewar uchaTti nazar hum dorahe pe wahm-o-yaqin ke rahe
sham-e-umid turfa-tamasha bani KHud hi bujhti rahi KHud hi jalti rahi
wo mohabbat ki sahba-e-do-atisha mere ham-mashrabo mai-kade mein kahan
un nigahon ka kaif-e-shabana liye KHalwat-e-be-KHalal mein jo Dhalti rahi
ghuncha-o-gul ka jab tak zamana raha 'asif' apni tabiat rahi josh par
kaif-e-ishrat faza se Tapakta raha aish ki mai zamin se ubalti rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.