chand bhi gum hai sitara bhi nahin hai koi
chāñd bhī gum hai sitāra bhī nahīñ hai koī
tū nahīñ hai to nazāra bhī nahīñ hai koī
ab jiyeñ kis ke liye aur piyeñ kis ke liye
laḌkhaḌāne ko sahārā bhī nahīñ hai koī
bhāgte rahte haiñ sailāb ke paanī kī tarah
ruknā chāheñ to kināra bhī nahīñ hai koī
kyā pata kaun sā rasta hai hamārī ḳhātir
kis taraf jaa.eñ ishāra bhī nahīñ hai koī
tum bhī is shahr meñ rahte ho akele shāyad
ham bhī tanhā haiñ hamārā bhī nahīñ hai koī
ḳhvāhisheñ aur bhī kuchh tere sivā chāhtī haiñ
ik sivā tere gavāra bhī nahīñ hai koī
chand bhi gum hai sitara bhi nahin hai koi
tu nahin hai to nazara bhi nahin hai koi
ab jiyen kis ke liye aur piyen kis ke liye
laDkhaDane ko sahaara bhi nahin hai koi
bhagte rahte hain sailab ke pani ki tarah
rukna chahen to kinara bhi nahin hai koi
kya pata kaun sa rasta hai hamari KHatir
kis taraf jaen ishaara bhi nahin hai koi
tum bhi is shahr mein rahte ho akele shayad
hum bhi tanha hain hamara bhi nahin hai koi
KHwahishen aur bhi kuchh tere siwa chahti hain
ek siwa tere gawara bhi nahin hai koi
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 84)
- Author :Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.