chand chhune ki dhun mein hue jate hain dur miTTi se hum humse miTTi bahut
chand chhune ki dhun mein hue jate hain dur miTTi se hum humse miTTi bahut
Muhiuddin Gulfam
MORE BYMuhiuddin Gulfam
chāñd chhūne kī dhun meñ hue jaate haiñ duur miTTī se ham ham se miTTī bahut
chāñd kā haath aanā na aanā hī kyā sāneha to hai miTTī se duurī bahut
jab ki sab ik ravish hī pe hoñ gāmzan rah judā karnā āsān hai jān-e-man
sach kā aise meñ jaama karo zeb-tan jhuuT ke jab hoñ chou-tarfā haamī bahut
ḳhauf kā dil meñ tūfān rakhā gayā pā-ba-zanjīr mehmān rakhā gayā
ham ko mahrūm-e-irfān rakhā gayā be-sabab to nahīñ mehrbānī bahut
vaar saare hī us ke dhare rah ga.e pai-ba-pai go badaltā rahā paiñtare
maiñ ne chāhā numūd-e-hunar vo kare thī vagarna mirī ik hī baazī bahut
laakh maanā ki nā-tajarba-kār hai tajarbe se magar kyā sarokār hai
ishq ko husn ke nāz-o-andāz kī hotī hī hai samajh-būjh thoḌī bahut
be-sabab pūchhtā bhī nahīñ aadmī be-ġharaz thūktā bhī nahīñ aadmī
aaj ḳhud mere dar tak chale aa.e ho vāqa.ī kaam thā kyā zarūrī bahut
jaan be-shak mirī le le nazrāna vo baḳhsh de bas muāfī kā parvāna vo
maan kar mujh ko 'gulfām' dīvāna vo kar nahīñ letā kyoñ zarf aalī bahut
chand chhune ki dhun mein hue jate hain dur miTTi se hum hum se miTTi bahut
chand ka hath aana na aana hi kya saneha to hai miTTi se duri bahut
jab ki sab ek rawish hi pe hon gamzan rah juda karna aasan hai jaan-e-man
sach ka aise mein jama karo zeb-tan jhuT ke jab hon chou-tarfa hami bahut
KHauf ka dil mein tufan rakha gaya pa-ba-zanjir mehman rakha gaya
hum ko mahrum-e-irfan rakha gaya be-sabab to nahin mehrbani bahut
war sare hi us ke dhare rah gae pai-ba-pai go badalta raha paintare
main ne chaha numud-e-hunar wo kare thi wagarna meri ek hi bazi bahut
lakh mana ki na-tajarba-kar hai tajarbe se magar kya sarokar hai
ishq ko husn ke naz-o-andaz ki hoti hi hai samajh-bujh thoDi bahut
be-sabab puchhta bhi nahin aadmi be-gharaz thukta bhi nahin aadmi
aaj KHud mere dar tak chale aae ho waqai kaam tha kya zaruri bahut
jaan be-shak meri le le nazrana wo baKHsh de bas muafi ka parwana wo
man kar mujh ko 'gulfam' diwana wo kar nahin leta kyon zarf aali bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.