chand Duba to ye saza pai
chāñd Duubā to ye sazā paa.ī
baat karne lagī hai tanhā.ī
kār-zār-e-hayāt meñ aksar
ham ko apnoñ ne dī hai rusvā.ī
phir mile bhī to ajnabī kī tarah
kaam aa.ī nahīñ shanāsā.ī
hai kahāñ kisht-e-kufr dasht-e-ḳhayāl
duur tak maiñ huuñ aur tanhā.ī
ek mehvar pe aa nahīñ sakte
vo dar-e-shauq aur jabīñ-sā.ī
ḳhaar se gul judā nahīñ hote
baat ham ne unheñ ye samjhā.ī
zīnat-e-dār ham bane lekin
aap laa.e haiñ ye qazā laa.ī
yuuñ bhī hotā hai bārhā 'manzar'
niiñd aa.ī magar nahīñ aa.ī
chand Duba to ye saza pai
baat karne lagi hai tanhai
kar-zar-e-hayat mein aksar
hum ko apnon ne di hai ruswai
phir mile bhi to ajnabi ki tarah
kaam aai nahin shanasai
hai kahan kisht-e-kufr dasht-e-KHayal
dur tak main hun aur tanhai
ek mehwar pe aa nahin sakte
wo dar-e-shauq aur jabin-sai
KHar se gul juda nahin hote
baat hum ne unhen ye samjhai
zinat-e-dar hum bane lekin
aap lae hain ye qaza lai
yun bhi hota hai barha 'manzar'
nind aai magar nahin aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.