chand ek raat jab baam par aa gaya
chāñd ik raat jab baam par aa gayā
ek bhaTkā huā rāsta pā gayā
ik parinde ne jaate hue kyā kahā
phuul gulshan kā har ek murjhā gayā
fāsle sab mohabbat ne kam kar diye
tum ne āvāz dī aur maiñ aa gayā
ek kashtī meñ sab jānvar aa ga.e
ek sailāb kitnoñ ko milvā gayā
mere sahrā kī vīrāniyāñ baḌh ga.iiñ
us kī bastī meñ ik mehmān aa gayā
chand ek raat jab baam par aa gaya
ek bhaTka hua rasta pa gaya
ek parinde ne jate hue kya kaha
phul gulshan ka har ek murjha gaya
fasle sab mohabbat ne kam kar diye
tum ne aawaz di aur main aa gaya
ek kashti mein sab jaanwar aa gae
ek sailab kitnon ko milwa gaya
mere sahra ki viraniyan baDh gain
us ki basti mein ek mehman aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.