chand jis tarah tanha sitaron mein hai
chand jis tarah tanha sitaron mein hai
Zahid Al-Ehsani Loharvi
MORE BYZahid Al-Ehsani Loharvi
chāñd jis tarah tanhā sitāroñ meñ hai
yūñhī raushan vo chehra hazāroñ meñ hai
jis ne pūchhā nahīñ hāl-e-dil bhuul kar
kyā sitam vo mire ġhamgusāroñ meñ hai
jhuum kar vo barastī hai kaalī ghaTā
jashn-e-bāda-kashī mai-gusāroñ meñ hai
vo jise mujh se koī ta.alluq na thā
aaj bhī vo mire rāz-dāroñ meñ hai
kyā mere qatl meñ haath us kā bhī thā
ab vahī to mire pāsdāroñ meñ hai
do qadam baḌh ke tūfāñ se bhiḌ jā.iye
laash mallāh kī tez dhāroñ meñ hai
itnā sun kar ke 'zāhid' maiñ sakte meñ huuñ
naam merā bhī qātil ke yāroñ meñ hai
chand jis tarah tanha sitaron mein hai
yunhi raushan wo chehra hazaron mein hai
jis ne puchha nahin haal-e-dil bhul kar
kya sitam wo mere ghamgusaron mein hai
jhum kar wo barasti hai kali ghaTa
jashn-e-baada-kashi mai-gusaron mein hai
wo jise mujh se koi talluq na tha
aaj bhi wo mere raaz-daron mein hai
kya mere qatl mein hath us ka bhi tha
ab wahi to mere pasdaron mein hai
do qadam baDh ke tufan se bhiD jaiye
lash mallah ki tez dhaaron mein hai
itna sun kar ke 'zahid' main sakte mein hun
nam mera bhi qatil ke yaron mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.