chand ka nur to suraj se juDa rahta hai
chāñd kā nuur to sūraj se juḌā rahtā hai
soz-e-naġhma dil-e-muztar se juḌā rahtā hai
laakh maazī ke darīchoñ ko muqaffal kar lo
ek manzar pas-e-manzar se juḌā rahtā hai
apnī tahzīb ke virse ko bachā kar rakhnā
phuul khiltā hai jo miTTī se juḌā rahtā hai
ḳhas-o-ḳhāshāk ke mānind bikhar jā.egā
zehn-o-dil vo jo takabbur se bharā rahtā hai
ham tavāzo' to bahut karte haiñ mehmānoñ kī
ġharz hotī hai vo iḳhlās kujā rahtā hai
be-‘amal log bhī ban jaate haiñ vā'iz aksar
qaul aur fe'l meñ sadiyoñ kā ḳhalā rahtā hai
ham ne dar-dar kī bahut ḳhaak hai chhānī 'nāhīd'
raaz ab jā ke khulā dil meñ ḳhudā rahtā hai
chand ka nur to suraj se juDa rahta hai
soz-e-naghma dil-e-muztar se juDa rahta hai
lakh mazi ke darichon ko muqaffal kar lo
ek manzar pas-e-manzar se juDa rahta hai
apni tahzib ke wirse ko bacha kar rakhna
phul khilta hai jo miTTi se juDa rahta hai
KHas-o-KHashak ke manind bikhar jaega
zehn-o-dil wo jo takabbur se bhara rahta hai
hum tawazo' to bahut karte hain mehmanon ki
gharz hoti hai wo iKHlas kuja rahta hai
be-‘amal log bhi ban jate hain wa'iz aksar
qaul aur fe'l mein sadiyon ka KHala rahta hai
hum ne dar-dar ki bahut KHak hai chhani 'nahid'
raaz ab ja ke khula dil mein KHuda rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.