chand kamre ki khiDki mein Thahra raha chandni raat jadu jagane lagi
chand kamre ki khiDki mein Thahra raha chandni raat jadu jagane lagi
Husna Sarwar
MORE BYHusna Sarwar
chāñd kamre kī khiḌkī meñ Thahrā rahā chāñdnī raat jaadū jagāne lagī
chāñdnī mere bistar talak aa ga.ī aur āñkhoñ se nīñdeñ uḌāne lagī
yaad kī Diary maiñ ne kholī hai jab sūkhe phūloñ se ḳhushbū sī aane lagī
tez āñdhī sī chalne lagī dard kī aur ik ik varaq ko uḌāne lagī
khul rahe haiñ ḳhayāloñ ke sab bādbāñ kashtiyāñ sāhiloñ kī taraf haiñ rulī
nīlgūñ nīlgūñ sīna-e-āb par chāñdnī kī kiran chamchamāne lagī
mausam-e-gul ke mahke qadam aa ga.e Daalī Daalī dhanak rang āñchal uḌe
mere gaañv meñ chupke se aa.ī sabā yaad gulshan kī mujh ko satāne lagī
būḌhe pīpal kī chhāñv meñ TuuTā huā ik gharauñdā hai miTTī kā baaqī abhī
merī bachpan kī ik ik kahānī mujhe de ke āvāz vāpas bulāne lagī
merī sāñsoñ meñ mahkā kare hai koī dil kī dhaḌkan meñ dhaḌkā kare hai koī
aañkh kī putliyoñ meñ basā hai koī maiñ jo ghabrā ke palkeñ jhukāne lagī
aam kī mīThī ḳhushbū fazā meñ uḌī jaise kānoñ meñ shahnā.iyāñ baj uThīñ
jaise sājan kā aayā sandesa sakhī gorī hāthoñ meñ mehñdī rachāne lagī
maiñ ki gītoñ kī jogan huuñ 'husnā' sadā fan ke sahrā meñ dar-dar bhaTaktī phirūñ
mujh ko manzil kī rahtī hai har pal lagan ik jalan mere man ko jalāne lagī
chand kamre ki khiDki mein Thahra raha chandni raat jadu jagane lagi
chandni mere bistar talak aa gai aur aankhon se ninden uDane lagi
yaad ki Diary main ne kholi hai jab sukhe phulon se KHushbu si aane lagi
tez aandhi si chalne lagi dard ki aur ek ek waraq ko uDane lagi
khul rahe hain KHayalon ke sab baadban kashtiyan sahilon ki taraf hain ruli
nilgun nilgun sina-e-ab par chandni ki kiran chamchamane lagi
mausam-e-gul ke mahke qadam aa gae Dali Dali dhanak rang aanchal uDe
mere ganw mein chupke se aai saba yaad gulshan ki mujh ko satane lagi
buDhe pipal ki chhanw mein TuTa hua ek gharaunda hai miTTi ka baqi abhi
meri bachpan ki ek ek kahani mujhe de ke aawaz wapas bulane lagi
meri sanson mein mahka kare hai koi dil ki dhaDkan mein dhaDka kare hai koi
aankh ki putliyon mein basa hai koi main jo ghabra ke palken jhukane lagi
aam ki miThi KHushbu faza mein uDi jaise kanon mein shahnaiyan baj uThin
jaise sajan ka aaya sandesa sakhi gori hathon mein mehndi rachane lagi
main ki giton ki jogan hun 'husna' sada fan ke sahra mein dar-dar bhaTakti phirun
mujh ko manzil ki rahti hai har pal lagan ek jalan mere man ko jalane lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.