chand ke sath jal uThi main bhi
chāñd ke saath jal uThī maiñ bhī
der tak baam par rahī maiñ bhī
kyā huā Dhal rahī hai shaam agar
hai vahī tū abhī vahī maiñ bhī
tū jo bholā to maiñ bhī bhuul ga.ī
varna bholī na thī kabhī maiñ bhī
lab-e-dīvār-o-dar to patthar the
tere aage ḳhamosh thī maiñ bhī
kisī ko ma.alūm terī rātoñ meñ
ik sitāra banī rahī maiñ bhī
be-zarūrat tirī panāh meñ huuñ
itnī be-ḳhānumāñ na thī maiñ bhī
jazba-e-ishq kī farāḳh-dilī
tū jhukā thā to jhuk ga.ī maiñ bhī
chhāñv maiñ huuñ abhī duāoñ kī
huuñ kisī god kī palī maiñ bhī
chand ke sath jal uThi main bhi
der tak baam par rahi main bhi
kya hua Dhal rahi hai sham agar
hai wahi tu abhi wahi main bhi
tu jo bhola to main bhi bhul gai
warna bholi na thi kabhi main bhi
lab-e-diwar-o-dar to patthar the
tere aage KHamosh thi main bhi
kisi ko malum teri raaton mein
ek sitara bani rahi main bhi
be-zarurat teri panah mein hun
itni be-KHanuman na thi main bhi
jazba-e-ishq ki faraKH-dili
tu jhuka tha to jhuk gai main bhi
chhanw main hun abhi duaon ki
hun kisi god ki pali main bhi
- Book : meyaar (Pg. 351)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.