chand ki jab se zarurat ho gai
chāñd kī jab se zarūrat ho ga.ī
zindagī tab se musībat ho ga.ī
hichkiyāñ aane kā hai shāyad sabab
un kī dil par bhī hukūmat ho ga.ī
un kī āñkheñ nam haiñ mere vāste
mere zaḳhmoñ kī bhī 'izzat ho ga.ī
dard-o-ġham baḌhte ga.e kuchh is tarah
dil pe un kī bādshāhat ho ga.ī
bik rahā īmān bhī is shahr meñ
gum yaqīnan hī sharāfat ho ga.ī
jab se rishte ḳhuun ke bikhre mere
dil ke zaḳhmoñ meñ bhī barkat ho ga.ī
chaar chhe ġhazleñ 'dharam' ne kyā kahīñ
ye mire rab kī 'ināyat ho ga.ī
chand ki jab se zarurat ho gai
zindagi tab se musibat ho gai
hichkiyan aane ka hai shayad sabab
un ki dil par bhi hukumat ho gai
un ki aankhen nam hain mere waste
mere zaKHmon ki bhi 'izzat ho gai
dard-o-gham baDhte gae kuchh is tarah
dil pe un ki baadshahat ho gai
bik raha iman bhi is shahr mein
gum yaqinan hi sharafat ho gai
jab se rishte KHun ke bikhre mere
dil ke zaKHmon mein bhi barkat ho gai
chaar chhe ghazlen 'dharam' ne kya kahin
ye mere rab ki 'inayat ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.