chand ki ranaiyon mein raaz ye mastur hai
Interesting Fact
Nind Puri na Hui (54)
chāñd kī rā'nā.iyoñ meñ raaz ye mastūr hai
ḳhūbsūrat hai vahī jo dastaras se duur hai
apnī sochoñ ke mutābiq kuchh bhī kar saktā nahīñ
aadmī hālāt ke hāthoñ bahut majbūr hai
ḳhāna-e-dil meñ tum apne jhāñk kar dekho zarā
mere iḳhlās-o-mohabbat kā vahāñ bhī nuur hai
husn kī taḳhlīq meñ masrūf hai rabb-e-jahāñ
aur shā'ir husn kī tā'rīf par māmūr hai
ye hamāre haq meñ achchhā ho burā ho kuchh bhī ho
ham ne karnā hai vahī jo aap ko manzūr hai
vo sarāpā husn hai aur maiñ sarāpā 'ishq huuñ
saaz se dil us kā merā soz se mā'mūr hai
mujh ko hai manzūr jabr-e-hijr bhī us ke liye
mujh se rah kar duur bhī koī agar masrūr hai
aadmī kam-go hai aur ghar se nikaltā bhī nahīñ
shahr meñ phir bhī 'munavvar' kis qadar mash.hūr hai
chand ki ra'naiyon mein raaz ye mastur hai
KHubsurat hai wahi jo dastaras se dur hai
apni sochon ke mutabiq kuchh bhi kar sakta nahin
aadmi haalat ke hathon bahut majbur hai
KHana-e-dil mein tum apne jhank kar dekho zara
mere iKHlas-o-mohabbat ka wahan bhi nur hai
husn ki taKHliq mein masruf hai rabb-e-jahan
aur sha'ir husn ki ta'rif par mamur hai
ye hamare haq mein achchha ho bura ho kuchh bhi ho
hum ne karna hai wahi jo aap ko manzur hai
wo sarapa husn hai aur main sarapa 'ishq hun
saz se dil us ka mera soz se ma'mur hai
mujh ko hai manzur jabr-e-hijr bhi us ke liye
mujh se rah kar dur bhi koi agar masrur hai
aadmi kam-go hai aur ghar se nikalta bhi nahin
shahr mein phir bhi 'munawwar' kis qadar mashhur hai
- Book : Gazal ai Gazal (Kulliyat-e-Gazal) (Pg. 25)
- Author : Dr. Munawar Hashmi
- Publication : Duniya-e-Urdu Publications, Islam abad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.