chand ko bar-zamin utara hai
chāñd ko bar-zamīñ utārā hai
aaj kis ne tujhe sañvārā hai
jism-o-jāñ meñ hayāt bahtī hai
dil magar tīsrā kinārā hai
zindagī ke har ik jhamele meñ
maiñ ne tujh ko hī to pukārā hai
kār-gāh-e-ḳhayāl-e-jānāñ meñ
maiñ ne har naqsh ko nikhārā hai
maiñ to bachpan se ye samajhtā huuñ
chāñd roTī kā isti'āra hai
tishnagī aur ġhurūr dariyā meñ
kaun jiitā hai kaun haarā hai
rahm-o-lutf-o-karam se haT kar kyā
bandagī kā koī sahārā hai
tere māthe kī raushnī meñ 'ayāñ
raat kā āḳhirī sitārā hai
chand ko bar-zamin utara hai
aaj kis ne tujhe sanwara hai
jism-o-jaan mein hayat bahti hai
dil magar tisra kinara hai
zindagi ke har ek jhamele mein
main ne tujh ko hi to pukara hai
kar-gah-e-KHayal-e-jaanan mein
main ne har naqsh ko nikhaara hai
main to bachpan se ye samajhta hun
chand roTi ka isti'ara hai
tishnagi aur ghurur dariya mein
kaun jita hai kaun haara hai
rahm-o-lutf-o-karam se haT kar kya
bandagi ka koi sahaara hai
tere mathe ki raushni mein 'ayan
raat ka aaKHiri sitara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.