chand mein hai koi pari shayad
chāñd meñ hai koī parī shāyad
is liye hai ye chāñdnī shāyad
log us ko masīhā kahte the
vaise vo bhī thā aadmī shāyad
dil kā darvāza khol rakkhā hai
yuuñ hī aa jā.egā koī shāyad
saañs aatī hai saañs jaatī hai
is ko kahte haiñ zindagī shāyad
aap kā zikr ho musalsal ho
bas yahī to hai shā.irī shāyad
mere aañsū tumhārī āñkhoñ meñ
ab bhī baaqī hai dostī shāyad
chand mein hai koi pari shayad
is liye hai ye chandni shayad
log us ko masiha kahte the
waise wo bhi tha aadmi shayad
dil ka darwaza khol rakkha hai
yun hi aa jaega koi shayad
sans aati hai sans jati hai
is ko kahte hain zindagi shayad
aap ka zikr ho musalsal ho
bas yahi to hai shairi shayad
mere aansu tumhaari aankhon mein
ab bhi baqi hai dosti shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.