chand mein nur sitaron mein sharar dekha hai
chāñd meñ nuur sitāroñ meñ sharar dekhā hai
jab bhī āñkhoñ meñ tirī aks-e-sahar dekhā hai
kaun hai jis ne bulāyā hai pahāḌoñ se mujhe
kaun thā jis kī duāoñ meñ asar dekhā hai
kaisī bastī hai ye kis tarah ke baasī haiñ yahāñ
jo milā us ke dil-o-jān meñ Dar dekhā hai
ḳhvāb hai yā hai haqīqat ki nazar kā dhoka
apne kāñdhoñ pe kisī aur kā sar dekhā hai
apnī aulād ke aage jo huā dast-e-savāl
us kī aahoñ na duāoñ meñ asar dekhā hai
is se pahle ki maiñ ārām se rakhtā paañv
is se pahle hī kisī aur ne ghar dekhā hai
haath bhī ḳhālī rahe raah meñ khaa.ī ho pahāḌ
jab bhī nikle haiñ kahāñ zād-e-safar dekhā hai
vo jo apne the jo apnā.e hue apne the
vo alag maiñ bhī judā kis ne magar dekhā hai
be-hunar mujh ko samajhnā na ‘muzaffar-īraj'
sab ne dil joḌne kā merā hunar dekhā hai
chand mein nur sitaron mein sharar dekha hai
jab bhi aankhon mein teri aks-e-sahar dekha hai
kaun hai jis ne bulaya hai pahaDon se mujhe
kaun tha jis ki duaon mein asar dekha hai
kaisi basti hai ye kis tarah ke basi hain yahan
jo mila us ke dil-o-jaan mein Dar dekha hai
KHwab hai ya hai haqiqat ki nazar ka dhoka
apne kandhon pe kisi aur ka sar dekha hai
apni aulad ke aage jo hua dast-e-sawal
us ki aahon na duaon mein asar dekha hai
is se pahle ki main aaram se rakhta panw
is se pahle hi kisi aur ne ghar dekha hai
hath bhi KHali rahe rah mein khai ho pahaD
jab bhi nikle hain kahan zad-e-safar dekha hai
wo jo apne the jo apnae hue apne the
wo alag main bhi juda kis ne magar dekha hai
be-hunar mujh ko samajhna na ‘muzaffar-iraj'
sab ne dil joDne ka mera hunar dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.