chand ne kahan dekhi teri ek jhalak warna
chāñd ne kahāñ dekhī terī ik jhalak varna
pal meñ hī chalā aatā chhoḌ kar falak varna
tum ne chhū liyā un ko to mahak uThe saare
phūloñ meñ nahīñ hotī is qadar mahak varna
terā ruup dekhā to aa ga.ī muqābil meñ
roz kab nikaltī hai ye dhanak-vanak varna
yaad koī aaya hai mujh ko aisā lagtā hai
is qadar nahīñ hotī chehre par chamak varna
tishnagī nigāhoñ kī ab sanam miTā bhī do
sabr kā ye paimāna jā.egā chhalak varna
dil pe haath rakh do bas tum mire qarīb aa kar
maar Dālegī mujh ko hijr kī kasak varna
aap kā qarīb aanā dil ko achchhā lagtā hai
dekhiye na ab aise jā.eñge bahak varna
'sād' rāz-e-dil kah de aaj un se tū jā kar
umr-bhar satā.egī tujh ko ye jhijhak varna
chand ne kahan dekhi teri ek jhalak warna
pal mein hi chala aata chhoD kar falak warna
tum ne chhu liya un ko to mahak uThe sare
phulon mein nahin hoti is qadar mahak warna
tera rup dekha to aa gai muqabil mein
roz kab nikalti hai ye dhanak-wanak warna
yaad koi aaya hai mujh ko aisa lagta hai
is qadar nahin hoti chehre par chamak warna
tishnagi nigahon ki ab sanam miTa bhi do
sabr ka ye paimana jaega chhalak warna
dil pe hath rakh do bas tum mere qarib aa kar
mar Dalegi mujh ko hijr ki kasak warna
aap ka qarib aana dil ko achchha lagta hai
dekhiye na ab aise jaenge bahak warna
'sad' raaz-e-dil kah de aaj un se tu ja kar
umr-bhar sataegi tujh ko ye jhijhak warna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.