chand nikla gagan mein kya kya kuchh
chāñd niklā gagan meñ kyā kyā kuchh
dard chamkā badan meñ kyā kyā kuchh
chāñd sūraj zamīn sayyāre
Dhal rahe haiñ suḳhan meñ kyā kyā kuchh
dasht maidāñ nadī pahāḌ guphā
hai isī ik badan meñ kyā kyā kuchh
naam us kā zabāñ par aate hī
gudgudāyā badan meñ kyā kyā kuchh
kaun aayā barā.e sair-e-chaman
phuul mahke chaman meñ kyā kyā kuchh
shāḳh par āshiyāñ ke bante hī
barq chamkī gagan meñ kyā kyā kuchh
phir lage zaḳhm teġh-e-abrū ke
phuul mahke badan meñ kyā kyā kuchh
ek tum hī nahīñ adiib 'niyāz'
ham bhī haiñ ilm-o-fan meñ kyā kyā kuchh
chand nikla gagan mein kya kya kuchh
dard chamka badan mein kya kya kuchh
chand suraj zamin sayyare
Dhal rahe hain suKHan mein kya kya kuchh
dasht maidan nadi pahaD gupha
hai isi ek badan mein kya kya kuchh
nam us ka zaban par aate hi
gudgudaya badan mein kya kya kuchh
kaun aaya barae sair-e-chaman
phul mahke chaman mein kya kya kuchh
shaKH par aashiyan ke bante hi
barq chamki gagan mein kya kya kuchh
phir lage zaKHm tegh-e-abru ke
phul mahke badan mein kya kya kuchh
ek tum hi nahin adib 'niyaz'
hum bhi hain ilm-o-fan mein kya kya kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.