chand nikla hai raat aai hai
chāñd niklā hai raat aa.ī hai
tum bhī aao to kyā burā.ī hai
aañkh saaqī ne phir milā.ī hai
phir se tauba kī maut aa.ī hai
hosh aane lagā hai phir mujh ko
chashm-e-mai-gūñ tirī duhā.ī hai
zāhidoñ ne bhī aaj mai pī lī
kyūñki kaalī ghaTā jo chhā.ī hai
ishq-e-sādiq ne jaan de de kar
husn kī zindagī baḌhā.ī hai
zarre zarre meñ husn hai lekin
ishq kī chār-sū ḳhudā.ī hai
dil meñ jab tak hai baat apnī hai
muñh se niklī to phir parā.ī hai
jaan le jaao ġham na le jaao
umr bhar kī yahī kamā.ī hai
ḳhud se 'ḳhākī' na tere paas aaya
ḳhvāhish-e-dīd khīñch laa.ī hai
chand nikla hai raat aai hai
tum bhi aao to kya burai hai
aankh saqi ne phir milai hai
phir se tauba ki maut aai hai
hosh aane laga hai phir mujh ko
chashm-e-mai-gun teri duhai hai
zahidon ne bhi aaj mai pi li
kyunki kali ghaTa jo chhai hai
ishq-e-sadiq ne jaan de de kar
husn ki zindagi baDhai hai
zarre zarre mein husn hai lekin
ishq ki chaar-su KHudai hai
dil mein jab tak hai baat apni hai
munh se nikli to phir parai hai
jaan le jao gham na le jao
umr bhar ki yahi kamai hai
KHud se 'KHaki' na tere pas aaya
KHwahish-e-did khinch lai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.