chand par yun kale baadal dekh kar achchha laga
chand par yun kale baadal dekh kar achchha laga
Aziqur Rahman Sarim
MORE BYAziqur Rahman Sarim
chāñd par yuuñ kaale bādal dekh kar achchhā lagā
ik nazar dekhā jo us ko umr bhar achchhā lagā
misl-e-majnūñ reg-zāroñ kā safar achchhā lagā
terī ḳhātir jiitī baazī haar kar achchhā lagā
hañste hañste jaan le lī jaan ne ik din mirī
jaañ luTā dī maiñ ne jis dam jaan par achchhā lagā
terī yādoñ ke sahāre jī rahā huuñ aaj bhī
guzre jo hamrāh tere vo safar achchhā lagā
apnī qismat par karūñ maiñ rashk jitnā kam hai vo
kyā batā.ūñ tum se mil kar kis qadar achchhā lagā
ūñche mahloñ kī rihā.ish ho mubārak aap ko
mujh ko apne gaañv kā miTTī kā ghar achchhā lagā
mujh ko apnī mehnatoñ par hai yaqīñ aur naaz bhī
ḳhuuñ pasīne se milā hai jo samar achchhā lagā
dād-o-tahsīñ kī tamanna kī nahīñ tū ne kabhī
dekh kar 'sārim' tumhārā ye jigar achchhā lagā
chand par yun kale baadal dekh kar achchha laga
ek nazar dekha jo us ko umr bhar achchha laga
misl-e-majnun reg-zaron ka safar achchha laga
teri KHatir jiti bazi haar kar achchha laga
hanste hanste jaan le li jaan ne ek din meri
jaan luTa di main ne jis dam jaan par achchha laga
teri yaadon ke sahaare ji raha hun aaj bhi
guzre jo hamrah tere wo safar achchha laga
apni qismat par karun main rashk jitna kam hai wo
kya bataun tum se mil kar kis qadar achchha laga
unche mahlon ki rihaish ho mubarak aap ko
mujh ko apne ganw ka miTTi ka ghar achchha laga
mujh ko apni mehnaton par hai yaqin aur naz bhi
KHun pasine se mila hai jo samar achchha laga
dad-o-tahsin ki tamanna ki nahin tu ne kabhi
dekh kar 'sarim' tumhaara ye jigar achchha laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.