chand sitara chand sitara hota hai
chāñd sitāra chāñd sitāra hotā hai
'aql kā maarā 'aql kā maarā hotā hai
baap ko vo bhī jaan se pyārā hotā hai
vo qatra jo bilkul khārā hotā hai
vo bhī hañstā hai ab auroñ ke dukh par
jis ne dukh meñ vaqt guzārā hotā hai
kachche aur kamzor makānoñ meñ hī nahīñ
mahloñ meñ bhī bhā.ī-chāra hotā hai
un kī kitābī āñkheñ yuuñ haiñ hifz ki bas
jaise kisī ko ‘am kā paara hotā hai
ūñche mahloñ meñ bhī mere qābil dost
jaise-taise roz guzārā hotā hai
log yūñhī bekār samajhte haiñ 'tāhir'
asl meñ shā'ir ek idāra hotā hai
chand sitara chand sitara hota hai
'aql ka mara 'aql ka mara hota hai
bap ko wo bhi jaan se pyara hota hai
wo qatra jo bilkul khaara hota hai
wo bhi hansta hai ab auron ke dukh par
jis ne dukh mein waqt guzara hota hai
kachche aur kamzor makanon mein hi nahin
mahlon mein bhi bhai-chaara hota hai
un ki kitabi aankhen yun hain hifz ki bas
jaise kisi ko ‘am ka para hota hai
unche mahlon mein bhi mere qabil dost
jaise-taise roz guzara hota hai
log yunhi bekar samajhte hain 'tahir'
asl mein sha'ir ek idara hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.