chand sitaron se kya puchhun kab din mere phirte hain
chand sitaron se kya puchhun kab din mere phirte hain
Syed Aabid Ali Aabid
MORE BYSyed Aabid Ali Aabid
chāñd sitāroñ se kyā pūchhūñ kab din mere phirte haiñ
vo to bichāre ḳhud haiñ bhikārī Dere Dere phirte haiñ
jin galiyoñ meñ ham ne sukh kī sej pe rāteñ kaaTī thiiñ
un galiyoñ meñ be-kal ho kar sāñjh-savere phirte haiñ
ruup sarūp kī jot jagānā is nagrī meñ jokhim hai
chāroñ khoñT bagūle ban kar ghor añdhere phirte haiñ
jin ke shaam baran sāyoñ meñ merā man sustāyā thā
ab tak merī nazroñ meñ vo baal ghanere phirte haiñ
koī hameñ bhī to samjhā do un par dil kyoñ riijh gayā
tīkhī chitvan bāñkī chhab vaale bahutere phirte haiñ
ik din us ne nain milā ke sharmā ke muñh pherā thā
tab se sundar sundar sapne man ko ghere phirte haiñ
is nagrī ke baaġh aur ban kī yaaro liilā nyārī hai
is meñ panchhī sar pe uThā kar apne basere phirte haiñ
kaise kaise mīThe boloñ se ham ko parchāte haiñ
kaise kaise bhes badal kar chor luTere phirte haiñ
log to dāman sī lete haiñ jaise bhī jī lete haiñ
'ābid' ham dīvāne haiñ jo baal bikhere phirte haiñ
chand sitaron se kya puchhun kab din mere phirte hain
wo to bichaare KHud hain bhikari Dere Dere phirte hain
jin galiyon mein hum ne sukh ki sej pe raaten kaTi thin
un galiyon mein be-kal ho kar sanjh-sawere phirte hain
rup sarup ki jot jagana is nagri mein jokhim hai
chaaron khonT bagule ban kar ghor andhere phirte hain
jin ke sham baran sayon mein mera man sustaya tha
ab tak meri nazron mein wo baal ghanere phirte hain
koi hamein bhi to samjha do un par dil kyon rijh gaya
tikhi chitwan banki chhab wale bahutere phirte hain
ek din us ne nain mila ke sharma ke munh phera tha
tab se sundar sundar sapne man ko ghere phirte hain
is nagri ke bagh aur ban ki yaro lila nyari hai
is mein panchhi sar pe uTha kar apne basere phirte hain
kaise kaise miThe bolon se hum ko parchate hain
kaise kaise bhes badal kar chor luTere phirte hain
log to daman si lete hain jaise bhi ji lete hain
'abid' hum diwane hain jo baal bikhere phirte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.