chand suraj na sahi koi sitara hota
chāñd sūraj na sahī koī sitārā hotā
rahnumā.ī ke liye koī hamārā hotā
ham ne kirdār jo andar se sañvārā hotā
phir to bāhar bhī bahut ḳhuub nazārā hotā
aap jhūTā hī sahī rishta banā.e rakhte
Dūbne vaale ko tinke kā sahārā hotā
us ne bhejā hai mohabbat ke liye duniyā meñ
kaash is baat ko sīnoñ meñ utārā hotā
jis meñ tā'līm mohabbat kī milā kartī ho
kaash aisā bhī kahīñ koī idāra hotā
har musībat se nikal saktā huuñ tadbīroñ se
kaash taqdīr se bachne kā bhī chāra hotā
sab kī āñkhoñ meñ samā jaatī vo tasvīr 'adīb'
chāñd ke 'aks meñ jo 'aks tumhārā hotā
chand suraj na sahi koi sitara hota
rahnumai ke liye koi hamara hota
hum ne kirdar jo andar se sanwara hota
phir to bahar bhi bahut KHub nazara hota
aap jhuTa hi sahi rishta banae rakhte
Dubne wale ko tinke ka sahaara hota
us ne bheja hai mohabbat ke liye duniya mein
kash is baat ko sinon mein utara hota
jis mein ta'lim mohabbat ki mila karti ho
kash aisa bhi kahin koi idara hota
har musibat se nikal sakta hun tadbiron se
kash taqdir se bachne ka bhi chaara hota
sab ki aankhon mein sama jati wo taswir 'adib'
chand ke 'aks mein jo 'aks tumhaara hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.