chand tare aaftabi ho gae
chāñd taare āftābī ho ga.e
zard paikar māhtābī ho ga.e
dopahar kī 'umr jab baḌhne lagī
apne saa.e bhī javābī ho ga.e
raat kī raanī ke nīche saañp thā
do farishte iztirābī ho ga.e
aañkh jab sūraj kī pathrāne lagī
chāñd se chehre shahābī ho ga.e
titliyoñ kī aañkh meñ nashsha sā hai
jism phūloñ ke sharābī ho ga.e
sīpiyoñ kī aañkh meñ patthar ke phuul
kaale bādal bhī sarābī ho ga.e
sub.h ke aurāq par sūraj kā karb
raat ke saa.e kitābī ho ga.e
chand tare aaftabi ho gae
zard paikar mahtabi ho gae
dopahar ki 'umr jab baDhne lagi
apne sae bhi jawabi ho gae
raat ki rani ke niche sanp tha
do farishte iztirabi ho gae
aankh jab suraj ki pathrane lagi
chand se chehre shahabi ho gae
titliyon ki aankh mein nashsha sa hai
jism phulon ke sharabi ho gae
sipiyon ki aankh mein patthar ke phul
kale baadal bhi sarabi ho gae
subh ke auraq par suraj ka karb
raat ke sae kitabi ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.