chand to taron se siwa hi tha
chāñd to tāroñ se sivā hī thā
phir hazāroñ meñ bhī judā hī thā
yaad tum kis maqām par aa.e
dil tumheñ bhūlne lagā hī thā
mujh se koī umiid tum rakhnā
maiñ ne to tum se ye kahā hī thā
ek aahaT ne kar diyā bedār
ḳhvāb bas aañkh se lagā hī thā
tū ne rahne nahīñ diyā mujh ko
varna maiñ tere kaam kā hī thā
is qadar shāndār thā mausam
be-nasha man bahak gayā hī thā
uḌte āvāra bādaloñ kī tarah
vasl barsāt kī ghaTā hī thā
ahd ke paimāñ ke sard-ḳhānoñ meñ
maiñ to apnī jagah khaḌā hī thā
vo mujhe bhuul hī gayā hogā
rishta us se to mirā kyā hī thā
lauT kar us ne bas kahā itnā
tumheñ to phir mirā patā hī thā
chand to taron se siwa hi tha
phir hazaron mein bhi juda hi tha
yaad tum kis maqam par aae
dil tumhein bhulne laga hi tha
mujh se koi umid tum rakhna
main ne to tum se ye kaha hi tha
ek aahaT ne kar diya bedar
KHwab bas aankh se laga hi tha
tu ne rahne nahin diya mujh ko
warna main tere kaam ka hi tha
is qadar shandar tha mausam
be-nasha man bahak gaya hi tha
uDte aawara baadalon ki tarah
wasl barsat ki ghaTa hi tha
ahd ke paiman ke sard-KHanon mein
main to apni jagah khaDa hi tha
wo mujhe bhul hi gaya hoga
rishta us se to mera kya hi tha
lauT kar us ne bas kaha itna
tumhein to phir mera pata hi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.