chandni apne sath lai hai
chāñdnī apne saath laa.ī hai
terī sūrat meñ raat aa.ī hai
ḳhud meñ ab ḳhud ko maiñ nahīñ miltā
is qadar mujh meñ tū samā.ī hai
ek din jism chhoḌ jā.egī
ruuh apnī nahīñ parā.ī hai
nahr meñ saaf kuchh bhī dikhtā nahīñ
aaj paanī pe kitnī kaa.ī hai
tujh ko ḳhat bhī likhe haiñ ḳhuun se aur
terī tasvīr bhī banā.ī hai
sar khule āyateñ haiñ rabb-e-jahāñ
tū kahāñ hai kahāñ ḳhudā.ī hai
is zamīñ se ai āsmāñ vaale
ab uThā le hameñ duhā.ī hai
chandni apne sath lai hai
teri surat mein raat aai hai
KHud mein ab KHud ko main nahin milta
is qadar mujh mein tu samai hai
ek din jism chhoD jaegi
ruh apni nahin parai hai
nahr mein saf kuchh bhi dikhta nahin
aaj pani pe kitni kai hai
tujh ko KHat bhi likhe hain KHun se aur
teri taswir bhi banai hai
sar khule aayaten hain rabb-e-jahan
tu kahan hai kahan KHudai hai
is zamin se ai aasman wale
ab uTha le hamein duhai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.