chandni bedar thi aur log soe the gharon mein
chāñdnī bedār thī aur log so.e the gharoñ meñ
do sulagte saa.e bāham the rupahlī sīḌhiyoñ meñ
vo hunar thā giilī miTTī ā.inoñ meñ Dhal rahī thī
naqsh kūza-gar ke zāhir ho rahe the bartanoñ meñ
jin makānoñ meñ makīñ thī guuñj zinda qahqahoñ kī
munhadim vo ho rahe the ḳhvāb hotī bastiyoñ meñ
barf ne ujḌe daraḳhtoñ par baserā kar liyā thā
shaam jangal ke parinde DhūñDhtī thī ghoñsloñ meñ
sāvanoñ kī guftugū meñ tazkira us mah-jabīñ kā
motiye kī baas goyā ghul rahī thī bārishoñ meñ
duur khetoñ meñ havā.eñ kheltī thiiñ bāliyoñ se
gandumī ḳhushbū se 'rāshid' raunaqeñ thiiñ āñganoñ meñ
chandni bedar thi aur log soe the gharon mein
do sulagte sae baham the rupahli siDhiyon mein
wo hunar tha gili miTTi aainon mein Dhal rahi thi
naqsh kuza-gar ke zahir ho rahe the bartanon mein
jin makanon mein makin thi gunj zinda qahqahon ki
munhadim wo ho rahe the KHwab hoti bastiyon mein
barf ne ujDe daraKHton par basera kar liya tha
sham jangal ke parinde DhunDhti thi ghonslon mein
sawanon ki guftugu mein tazkira us mah-jabin ka
motiye ki bas goya ghul rahi thi barishon mein
dur kheton mein hawaen khelti thin baaliyon se
gandumi KHushbu se 'rashid' raunaqen thin aanganon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.