chandni jis tarah gungunane lage aisi chanchal ada tere lahje mein hai

chandni jis tarah gungunane lage aisi chanchal ada tere lahje mein hai
Yawar Azeem
MORE BYYawar Azeem
chāñdnī jis tarah gungunāne lage aisī chanchal adā tere lahje meñ hai
aur lahje bhī maiñ ne sune haiñ magar baat sab se judā tere lahje meñ hai
dil khilā hai to koī ta'ajjub nahīñ tere hoñToñ pe jab merā naam aa gayā
mere ehsās ko kitnā mahkā ga.ī ye jo bū-e-vafā tere lahje meñ hai
maiñ tire shahsavāroñ kī saf meñ khaḌā jaan par khel jaane ko tayyār huuñ
shāh-zādī hai tū mujh ko farmān de aaj kyoñ iltijā tere lahje meñ hai
ye sharāb-e-suḳhan is se pahle kabhī tere fan kī surāhī se chhalkī nahīñ
terī maḳhmūr satreñ batāne lagīñ 'ishq jaagā huā tere lahje meñ hai
terā lahja sukūñ terā lahja shifā terā lahja añdhere meñ jaltā diyā
tujh ko jab jab sunā hai to aisā lagā mere dukh kī davā tere lahje meñ hai
tere lafzoñ kī barsāt yūñhī mujhe zard mausam meñ shādāb kartī rahe
merī banjar samā'at kī ḳhātir koī bhīgī bhīgī fazā tere lahje meñ hai
ye tire qurb kī āḳhirī shaam hai ye tire pyaar kā āḳhirī jaam hai
ye chamaktī damaktī sī koī kasak āḳhirī martaba tere lahje meñ hai
chandni jis tarah gungunane lage aisi chanchal ada tere lahje mein hai
aur lahje bhi main ne sune hain magar baat sab se juda tere lahje mein hai
dil khila hai to koi ta'ajjub nahin tere honTon pe jab mera nam aa gaya
mere ehsas ko kitna mahka gai ye jo bu-e-wafa tere lahje mein hai
main tere shahsawaron ki saf mein khaDa jaan par khel jaane ko tayyar hun
shah-zadi hai tu mujh ko farman de aaj kyon iltija tere lahje mein hai
ye sharab-e-suKHan is se pahle kabhi tere fan ki surahi se chhalki nahin
teri maKHmur satren batane lagin 'ishq jaga hua tere lahje mein hai
tera lahja sukun tera lahja shifa tera lahja andhere mein jalta diya
tujh ko jab jab suna hai to aisa laga mere dukh ki dawa tere lahje mein hai
tere lafzon ki barsat yunhi mujhe zard mausam mein shadab karti rahe
meri banjar sama'at ki KHatir koi bhigi bhigi faza tere lahje mein hai
ye tere qurb ki aaKHiri sham hai ye tere pyar ka aaKHiri jam hai
ye chamakti damakti si koi kasak aaKHiri martaba tere lahje mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.