chandni pighli hui har ek paimane mein hai
chāñdnī pighlī huī har ek paimāne meñ hai
raushnī hī raushnī goyā ki maiḳhāne meñ hai
fasl-e-gul bhī aa ga.ī uudī ghaTā bhī chhā ga.ī
uzr ab ai dost kyā tujh ko chale aane meñ hai
jā-ba-jā hai dāstān-e-gul meñ shabnam kā bayān
merā afsāna bhī shāmil tere afsāne meñ hai
marne vāloñ hī se hai ai zindagī terā vaqār
fasl-e-gul kī aabrū phūloñ ke murjhāne meñ hai
un bahāroñ meñ kabhī shāyad hī un ko dekh paa.eñ
jin bahāroñ kā tasavvur dil ke vīrāne meñ hai
chandni pighli hui har ek paimane mein hai
raushni hi raushni goya ki maiKHane mein hai
fasl-e-gul bhi aa gai udi ghaTa bhi chha gai
uzr ab ai dost kya tujh ko chale aane mein hai
ja-ba-ja hai dastan-e-gul mein shabnam ka bayan
mera afsana bhi shamil tere afsane mein hai
marne walon hi se hai ai zindagi tera waqar
fasl-e-gul ki aabru phulon ke murjhane mein hai
un bahaaron mein kabhi shayad hi un ko dekh paen
jin bahaaron ka tasawwur dil ke virane mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.