chap aae ki mulaqat ho aawaze se
chaap aa.e ki mulāqāt ho āvāze se
kab se tanhā.ī lagī baiThī hai darvāze se
mujh se tasvīr talab kartī haiñ merī āñkheñ
maiñ ne kuchh rañg chune the tire shīrāze se
sāf-goī se ab ā.īna bhī katrātā hai
ab to pahchāntā huuñ ḳhud ko bhī andāze se
maiñ to miTTī kā badan oḌh ke ḳhud niklā huuñ
kyā Darātī haiñ havā.eñ mujhe ḳhamiyāze se
apne chehre pe na auroñ ke ḳhad-o-ḳhāl sajā
ruup aatā hai kahīñ utre hue ġhāze se
jhūTī azmat kī pujārī hai 'muzaffar' duniyā
pasta-qad log bhī guzreñ baḌe darvāze se
chap aae ki mulaqat ho aawaze se
kab se tanhai lagi baiThi hai darwaze se
mujh se taswir talab karti hain meri aankhen
main ne kuchh rang chune the tere shiraaze se
saf-goi se ab aaina bhi katraata hai
ab to pahchanta hun KHud ko bhi andaze se
main to miTTi ka badan oDh ke KHud nikla hun
kya Daraati hain hawaen mujhe KHamiyaze se
apne chehre pe na auron ke KHad-o-KHal saja
rup aata hai kahin utre hue ghaze se
jhuTi azmat ki pujari hai 'muzaffar' duniya
pasta-qad log bhi guzren baDe darwaze se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.