chaar paise jo bachcha kamane lage
chaar paise jo bachcha kamāne lage
aañkh mātā-pitā ko dikhāne lage
qalb mātā-pitā kā dukhā kar ke kyoñ
āñsuoñ ko muqaddar banāne lage
kho ga.iiñ biich kī saarī garmāhaTeñ
log rishtoñ ko rasman nibhāne lage
ḳhvāhishoñ ke samundar meñ Dubkī lagā
dā.era sab dukhoñ kā baḌhāne lage
jānte haiñ na sākār hoñge magar
dil ko sapne vafā ke suhāne lage
kyā batā.eñ nasha un nigāhoñ kā ham
bin piye hī qadam laḌkhaḌāne lage
dekh kar hausla rāste ḳhud-ba-ḳhud
manziloñ kā Thikānā batāne lage
dil kī chāloñ meñ aa kar ke 'hīrā' sabhī
niiñd āñkhoñ kī ḳhud hī gañvāne lage
chaar paise jo bachcha kamane lage
aankh mata-pita ko dikhane lage
qalb mata-pita ka dukha kar ke kyon
aansuon ko muqaddar banane lage
kho gain bich ki sari garmahaTen
log rishton ko rasman nibhane lage
KHwahishon ke samundar mein Dubki laga
daera sab dukhon ka baDhane lage
jaante hain na sakar honge magar
dil ko sapne wafa ke suhane lage
kya bataen nasha un nigahon ka hum
bin piye hi qadam laDkhaDane lage
dekh kar hausla raste KHud-ba-KHud
manzilon ka Thikana batane lage
dil ki chaalon mein aa kar ke 'hira' sabhi
nind aankhon ki KHud hi ganwane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.