chaar-su barud ki bu chaar-su KHauf-o-hiras
chār-sū bārūd kī bū chār-sū ḳhauf-o-hirās
band darvāzoñ ke pīchhe mard-o-zan sab bad-havās
us ke va.adoñ par na kar ta.amīr aashā kā mahal
ret ke Tiile pe kyoñ rakhtā hai is ghar kī asaas
sab amīr-e-shahr ke zulm-o-sitam se jāñ-ba-lab
sab amīr-e-shahr ke aage magar mahv-e-sipās
yuuñ siyāsī faisloñ ne umr bhar rauñdā hameñ
is zamīn-e-ilm-o-fan meñ ham uge jaise ki ghaas
apne hī a.amāl se likhte haiñ ham apnā nasīb
apne kāñdhoñ par uThā rakkhā hai ḳhud apnā cross
aao apnā.eñ muravvat dostī uns-o-vafā
aao bhar leñ zindagī meñ rang ras ḳhushbū miThās
baḌh gayā us paar le kar naav vo apnī 'shabāb'
maiñ khaḌā hī rah gayā tanhā lab-e-sāhil udaas
chaar-su barud ki bu chaar-su KHauf-o-hiras
band darwazon ke pichhe mard-o-zan sab bad-hawas
us ke wadon par na kar tamir aasha ka mahal
ret ke Tile pe kyon rakhta hai is ghar ki asas
sab amir-e-shahr ke zulm-o-sitam se jaan-ba-lab
sab amir-e-shahr ke aage magar mahw-e-sipas
yun siyasi faislon ne umr bhar raunda hamein
is zamin-e-ilm-o-fan mein hum uge jaise ki ghas
apne hi aamal se likhte hain hum apna nasib
apne kandhon par uTha rakkha hai KHud apna cross
aao apnaen murawwat dosti uns-o-wafa
aao bhar len zindagi mein rang ras KHushbu miThas
baDh gaya us par le kar naw wo apni 'shabab'
main khaDa hi rah gaya tanha lab-e-sahil udas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.