chaar-su hai ye kaisi KHamoshi
chār-sū hai ye kaisī ḳhāmoshī
kaash sun paao gahrī ḳhāmoshī
kitnī muddat se chup haiñ vo āñkheñ
baat kartī thī jin kī ḳhāmoshī
jab se vo ḳhush-ḳhayāl bichhḌā hai
bām-o-dar par hai chhā.ī ḳhāmoshī
raunaq-e-shahr se hai uktā.ī
ghar ke kone meñ rakkhī ḳhāmoshī
shor-e-girya sunā.ī detā hai
bain kartī hai kis kī ḳhāmoshī
shahr kī chīḳhtī fazāoñ meñ
kaun samjhegā merī ḳhāmoshī
vaqt-e-ruḳhsat bhī ro nahīñ paa.ī
hijr ke Dar se sahmī ḳhāmoshī
chaar-su hai ye kaisi KHamoshi
kash sun pao gahri KHamoshi
kitni muddat se chup hain wo aankhen
baat karti thi jin ki KHamoshi
jab se wo KHush-KHayal bichhDa hai
baam-o-dar par hai chhai KHamoshi
raunaq-e-shahr se hai uktai
ghar ke kone mein rakkhi KHamoshi
shor-e-girya sunai deta hai
bain karti hai kis ki KHamoshi
shahr ki chiKHti fazaon mein
kaun samjhega meri KHamoshi
waqt-e-ruKHsat bhi ro nahin pai
hijr ke Dar se sahmi KHamoshi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.