chaar-su phaila hua kar-e-jahan rahne diya
chār-sū phailā huā kār-e-jahāñ rahne diyā
ruk ga.e ham aur har shai ko ravāñ rahne diyā
apne gumbad meñ kahāñ se aa.egī taaza havā
ik darīcha bhī khulā ham ne kahāñ rahne diyā
bāl-o-par qaa.em the sābit himmat-e-parvāz thī
kuchh zamīñ raas aa ga.ī bas āsmāñ rahne diyā
roz-e-raushan aaj sūraj ne kiyā goyā kamāl
barf-sāmāñ qatra qatra āsmāñ rahne diyā
ham ne apne vāste bas ik jazīra chun liyā
aur bahr-e-be-karāñ ko be-karāñ rahne diyā
zindagānī ho ga.ī gosha-nashīnī meñ tamām
mil to saktā thā magar saarā jahāñ rahne diyā
apnī qismat ke liye vo ik sitāra thā bahut
dastaras to thī magar sab āsmāñ rahne diyā
kuchh mizāj apnā hī thā 'betāb' un sab se judā
bas akele chal diye ham kārvāñ rahne diyā
chaar-su phaila hua kar-e-jahan rahne diya
ruk gae hum aur har shai ko rawan rahne diya
apne gumbad mein kahan se aaegi taza hawa
ek daricha bhi khula hum ne kahan rahne diya
baal-o-par qaem the sabit himmat-e-parwaz thi
kuchh zamin ras aa gai bas aasman rahne diya
roz-e-raushan aaj suraj ne kiya goya kamal
barf-saman qatra qatra aasman rahne diya
hum ne apne waste bas ek jazira chun liya
aur bahr-e-be-karan ko be-karan rahne diya
zindagani ho gai gosha-nashini mein tamam
mil to sakta tha magar sara jahan rahne diya
apni qismat ke liye wo ek sitara tha bahut
dastaras to thi magar sab aasman rahne diya
kuchh mizaj apna hi tha 'betab' un sab se juda
bas akele chal diye hum karwan rahne diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.