chaar-su phaile nazar aae ujale mere
chār-sū phaile nazar aa.e ujāle mere
koī aa dekhe paḌe pair ke chhāle mere
maiñ samajhtā huuñ ki maiñ kuchh bhī nahīñ huuñ lekin
log dete haiñ ka.ī baar havāle mere
aañkh ke lams se jis jis ko chhuā chāñd hue
din ke sūraj hue hāthoñ se uchhāle mere
achchhe yāroñ ne rakhe naam bhī achchhe mere
bhāyā kah dete haiñ yā kahte haiñ laale mere
dasht-e-vahshat meñ samar-bār numū le aa.e
zarra-e-ret pe barse hue paale mere
vā-e-qismat se mile tū ne diye zaḳhm hare
niile niile se hue niile se kaale mere
na hī jhuktā hai na biktā hai na ghabrātā hai
tū ne sab 'aib bahut ḳhuub nikāle mere
koī aa.e mirī turbat pe to miTTī kī jagah
un se kahnā hai ki afkār sañbhāle mere
na.e uslūb na.ī baat na.ī tashbīhāt
isti'āre bhī bahut ḳhuub nirāle mere
chaar-su phaile nazar aae ujale mere
koi aa dekhe paDe pair ke chhaale mere
main samajhta hun ki main kuchh bhi nahin hun lekin
log dete hain kai bar hawale mere
aankh ke lams se jis jis ko chhua chand hue
din ke suraj hue hathon se uchhaale mere
achchhe yaron ne rakhe nam bhi achchhe mere
bhaya kah dete hain ya kahte hain lale mere
dasht-e-wahshat mein samar-bar numu le aae
zarra-e-ret pe barse hue pale mere
wa-e-qismat se mile tu ne diye zaKHm hare
nile nile se hue nile se kale mere
na hi jhukta hai na bikta hai na ghabraata hai
tu ne sab 'aib bahut KHub nikale mere
koi aae meri turbat pe to miTTi ki jagah
un se kahna hai ki afkar sanbhaale mere
nae uslub nai baat nai tashbihat
isti'are bhi bahut KHub nirale mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.