chaara-e-kar hua had se siwa ho jaana
chāra-e-kār huā had se sivā ho jaanā
ab mire dard ko aayā hai davā ho jaanā
ham samajhte haiñ yahī kun-fayakūñ kā hāsil
ik ḳhamoshī se tabassum kī adā ho jaanā
zindagī kā yahī rishta hai musībat kā sabab
saañs ukhaḌnā girah-e-dil kā hai vā ho jaanā
ai du'ā mujh se shikāyat hai jafā-kāroñ ko
tujh se ye kis ne kahā thā ki gila ho jaanā
ai ajal sham'-sifat soz-e-mohabbat ke tufail
aa gayā hai hameñ aap apnī qazā ho jaanā
bhuul jaanā na mirī aah ko haañ yaad rahe
un ke kūche meñ agar terā sabā ho jaanā
ye batāne kī nahīñ baat jatāne kī nahīñ
ḳhud-ba-ḳhud chāhiye iz.hār-e-vafā ho jaanā
sīkhiye lutf ki kamyāb ise kahte haiñ
kis ko aatā nahīñ duniyā meñ ḳhafā ho jaanā
jabr par sabr ko āsāñ na samajh banda-e-aql
kaam himmat kā hai rāzī-ba-razā ho jaanā
merī aahoñ se jo tūfān-e-sharar uTThā thā
bijliyāñ siikh ga.iiñ us se balā ho jaanā
ik musībat hai musībat kī tamanna 'shākir'
ik balā ho gayā himmat kā balā ho jaanā
chaara-e-kar hua had se siwa ho jaana
ab mere dard ko aaya hai dawa ho jaana
hum samajhte hain yahi kun-fayakun ka hasil
ek KHamoshi se tabassum ki ada ho jaana
zindagi ka yahi rishta hai musibat ka sabab
sans ukhaDna girah-e-dil ka hai wa ho jaana
ai du'a mujh se shikayat hai jafa-karon ko
tujh se ye kis ne kaha tha ki gila ho jaana
ai ajal sham'-sifat soz-e-mohabbat ke tufail
aa gaya hai hamein aap apni qaza ho jaana
bhul jaana na meri aah ko han yaad rahe
un ke kuche mein agar tera saba ho jaana
ye batane ki nahin baat jatane ki nahin
KHud-ba-KHud chahiye izhaar-e-wafa ho jaana
sikhiye lutf ki kamyab ise kahte hain
kis ko aata nahin duniya mein KHafa ho jaana
jabr par sabr ko aasan na samajh banda-e-aql
kaam himmat ka hai raazi-ba-raza ho jaana
meri aahon se jo tufan-e-sharar uTTha tha
bijliyan sikh gain us se bala ho jaana
ek musibat hai musibat ki tamanna 'shakir'
ek bala ho gaya himmat ka bala ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.