chaaron jaanib aaine hain bolta koi nahin
chāroñ jānib aa.ine haiñ boltā koī nahīñ
de rahā huuñ dastakeñ dar kholtā koī nahīñ
ik yaqīn-o-be-yaqīnī kā ḳhalā hai darmiyāñ
log bahre ho ga.e yā boltā koī nahīñ
garm āvāzoñ kī rut meñ kitne jharnoñ jaise naam
vo nahīñ to kaan meñ ras gholtā koī nahīñ
ghoñsle ujḌe the ik din āñdhiyoñ meñ aur ab
ḳhvāhish-e-parvāz meñ par toltā koī nahīñ
jugnuoñ ko qaid se āzād kar detā hai vo
shāḳh-e-shab par jab sitāra Doltā koī nahīñ
kaun kis ko jāntā hai ā.inoñ ke shahr meñ
ham vo patthar haiñ ki jin ko moltā koī nahīñ
ye to bas ham ne gañvā.e ret meñ gauhar 'kafīl'
ḳhaak meñ varna to motī roltā koī nahīñ
chaaron jaanib aaine hain bolta koi nahin
de raha hun dastaken dar kholta koi nahin
ek yaqin-o-be-yaqini ka KHala hai darmiyan
log bahre ho gae ya bolta koi nahin
garm aawazon ki rut mein kitne jharnon jaise nam
wo nahin to kan mein ras gholta koi nahin
ghonsle ujDe the ek din aandhiyon mein aur ab
KHwahish-e-parwaz mein par tolta koi nahin
jugnuon ko qaid se aazad kar deta hai wo
shaKH-e-shab par jab sitara Dolta koi nahin
kaun kis ko jaanta hai aainon ke shahr mein
hum wo patthar hain ki jin ko molta koi nahin
ye to bas hum ne ganwae ret mein gauhar 'kafil'
KHak mein warna to moti rolta koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.