chaaron taraf buland nishan tirgi ka tha
chāroñ taraf buland nishāñ tīrgī kā thā
rakkhā huā fasīl pe sar raushnī kā thā
sar par mire 'azāb-e-zamāna na thā koī
mujh par to ik 'azāb mirī āgahī kā thā
merī hī tarh TuuT ke vo bhī bikhar gayā
merī tarah gumāñ use shīshagarī kā thā
kyā soch kar tum aise safar par nikal paḌe
imkāñ na jis safar se koī vāpsī kā thā
aaya thā lūTne mirā ham-zād bhī mujhe
kis ko ḳhayāl luuT meñ hamsā.egī kā thā
rangoñ ke izhdihām meñ sab rang 'aam the
mumtāz thā to rang tirī sādgī kā thā
manzil-ba-manzil us ke bichhaḌne kā ġham hai kyoñ
raste meñ jis kā saath ghaḌī-do-ghaḌī kā thā
baḌh kar vahāñ bhī shab ne siyāhī uñDel dī
halkā sā shā.iba bhī jahāñ raushnī kā thā
merī kitāb-e-she'r meñ saada jo rah gayā
'mohsin' vahī varaq tū mirī shā'irī meñ thā
chaaron taraf buland nishan tirgi ka tha
rakkha hua fasil pe sar raushni ka tha
sar par mere 'azab-e-zamana na tha koi
mujh par to ek 'azab meri aagahi ka tha
meri hi tarh TuT ke wo bhi bikhar gaya
meri tarah guman use shishagari ka tha
kya soch kar tum aise safar par nikal paDe
imkan na jis safar se koi wapsi ka tha
aaya tha luTne mera ham-zad bhi mujhe
kis ko KHayal luT mein hamsaegi ka tha
rangon ke izhdiham mein sab rang 'am the
mumtaz tha to rang teri sadgi ka tha
manzil-ba-manzil us ke bichhaDne ka gham hai kyon
raste mein jis ka sath ghaDi-do-ghaDi ka tha
baDh kar wahan bhi shab ne siyahi unDel di
halka sa shaiba bhi jahan raushni ka tha
meri kitab-e-she'r mein sada jo rah gaya
'mohsin' wahi waraq tu meri sha'iri mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.