chaaron taraf hai phaili hui tirgi to kya
chāroñ taraf hai phailī huī tīrgī to kyā
aatī nahīñ hai ghar meñ mire raushnī to kyā
har roz zarb dete haiñ apne nafas ko ham
lekin ye chhoḌtā hī nahīñ kāfirī to kyā
masjid meñ kī namāz adā phir piye do jaam
nekī ke saath saath hai thoḌī badī to kyā
ai sāqiyā maiñ jald hī badlūñgā mai-kada
bujhtī nahīñ hai merī yahāñ tishnagī to kyā
itnā bhī kam hai kyā ki kiyā us ne kuchh kalām
kahne kī thī jo baat nahīñ bhī kahī to kyā
jo chal rahā hai chalne do un ko nahīñ ḳhayāl
murda-zamīr qaum kabhī mar ga.ī to kyā
chaaron taraf hai phaili hui tirgi to kya
aati nahin hai ghar mein mere raushni to kya
har roz zarb dete hain apne nafas ko hum
lekin ye chhoDta hi nahin kafiri to kya
masjid mein ki namaz ada phir piye do jam
neki ke sath sath hai thoDi badi to kya
ai saqiya main jald hi badlunga mai-kada
bujhti nahin hai meri yahan tishnagi to kya
itna bhi kam hai kya ki kiya us ne kuchh kalam
kahne ki thi jo baat nahin bhi kahi to kya
jo chal raha hai chalne do un ko nahin KHayal
murda-zamir qaum kabhi mar gai to kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.